Teeno chalu DDA schemes ek table mein — keemat, kaun le sakta hai, draw ya FCFS, aur last date. Saari jaankari DDA circular aur brochure se (17 Oct 2026 tak).
| Awas Nivesh 2026 NAYI | Nagrik Awaas 2026 | Janta Awaas 2026 | |
|---|---|---|---|
| Flat | LIG (1BHK), 49.90 sqm | LIG Siraspur; MIG/HIG Narela A1–A4; Narela G7–G8 | EWS (one room), Pragati 1 |
| Location | Narela Sector G2–G6 | Siraspur, Narela A1–A4, G7–G8 | Rohtak Road, near Zakhira |
| Keemat se | ₹14.95 lakh (25% off) | ₹11.51 lakh (Siraspur LIG); MIG ~₹73 L se | ₹34.86 lakh (GST alag) |
| Kaun le sakta hai | Koi bhi Bharatiya 18+, income limit nahi | Koi bhi Bharatiya 18+, income limit nahi | Family income ₹10 lakh/saal se kam |
| Tareeka | First Come First Serve | First Come First Serve | Computerized draw |
| Booking / registration | ₹1 lakh | LIG ₹1 L · MIG ₹4 L · HIG ₹10 L | Registration ₹2,500 (wapas nahi), draw scheme |
| Kab tak | 20 Oct 2026 se 31 Jan 2027 | 31 Oct 2026 tak | Registration 7 Dec, draw 15 Dec 2026 |
| Khaas baat | Ready-to-move, freehold, nayi scheme | Siraspur sabse kam keemat | Inderlok metro ~600 m, 5 saal lock-in |
Keemat 25% discount ke baad (jahan lagu); maintenance, paani aur conversion charges alag. Nagrik ke MIG/HIG ki keemat flat ke area ke hisaab se badalti hai.
Awas Nivesh: Narela G2–G6 ka 1BHK LIG, ready-to-move, freehold. Booking 20 Oct, 12 baje se.
Awas Nivesh dekhein →Nagrik: Siraspur LIG ₹11.51 lakh se, ya Narela A1–A4 ke MIG/HIG. Last date 31 Oct 2026.
Nagrik dekhein →Janta Awaas: Rohtak Road ka EWS flat, Inderlok metro ke paas, draw se. Registration 7 Dec tak.
Janta Awaas dekhein →Awas Nivesh mein Narela G2-G6 ke LIG flat ₹14.95 lakh se hain (FCFS, 20 Oct 2026 se 31 Jan 2027 tak). Nagrik mein Siraspur ke LIG ₹11.51 lakh se aur Narela A1-A4 ke MIG/HIG hain (FCFS, 31 Oct 2026 tak). Janta Awaas mein Rohtak Road ke 209 EWS flat ₹34.86 lakh se hain, draw se, sirf ₹10 lakh tak saalana family income walon ke liye.
Awas Nivesh aur Nagrik dono mein income limit nahi hai; koi bhi Bharatiya nagrik (18+) apply kar sakta hai. Janta Awaas mein parivaar ki saalana aamdani ₹10 lakh se kam honi chahiye.
Janta Awaas mein computerized draw hoga (15 December 2026). Awas Nivesh aur Nagrik First Come First Serve hain: jo pehle book kare, flat usi ka.
Janta Awaas ka Pragati 1 (Rohtak Road) Inderlok metro se lagbhag 600 m door hai. Narela mein Rithala-Narela-Kundli metro ko Dec 2024 mein manzoori mili hai, abhi chalu nahi hai.
Apna budget aur zaroorat bataiye — kaunsi scheme sahi rahegi aur booking kaise hogi, hum samjha dete hain aur poora kaam karwate hain.